Lyrics

In this blog I'd like to get you acquainted with the lyrics of some of my favourite songs!!! Hope you'll like it!!!

Friday, March 03, 2006

Wo Pehli Baar - Pyaar me Kabhi Kabhi

Wo pehli baar jab hum mile
Haathon me haath, jab hum chaley
Ho gaya ye dil deewana
Hota hai pyar kya, isne jaana
Teri aakhon me jannat basaa ke chala
Teri zulfon ki chhao me chalta chala
Tere nainon me chain, tere lab pe khushi
Tujhko hi mai muhobbat bana ke chala (2)

Wo pehli baar jab hum miley
Ho gaye shuru ye silsiley
Ho gaya ye dil deewana
Hota hai pyaar kya, isne jaana


Khilti kaliyon me dhunhu bas tere nishaan
Mai na janu haya ke liye kya karwaan
Tujhe dekhu to aaye lab pe khushi
Khuda na kare ho kabhi dooriyaan

Wo pehli baar jab hum mile
Haathon me haath, jab hum chaley
Ho gaya ye dil deewana
Hota hai pyar kya, humne jaana

Ho gaya hu mai pagal ab tere liye
Tere bin dil bechaara ye kaise jiye
Maine kho ke hai chain payi tujhme khushi
Tu bani jaane jaana meri zindagi

Wo pehli baar jab hum mile
Haathon me haath, jab hum chaley
Ho gaya ye dil deewana
Hota hai pyar kya, humne jaana (2)

Chalo tumko lekar chalein - Jism

Chalo, tumko lekar chalein
Hum un fizaaaon me
Jahaan meetha nashaa
Hai taaron ki chhao me (2)
*Chalo, tumko lekar chalein,
Hum un fizaaon me

Gaati sarsarati in hawaon sang aao
Paas mere aa na
Sapno ka safar hai
Mere dil ka ye bhawar hai
Isme doob jaana
Zara sa lamha
Chupa tha
Ab mil gaya
Jahaan meetha nashaa
Hai taaron ki chhao me

Repeat (*)

Maddham roshni aur chanchal chandni hai
Chale aao na
Shabnam si chhuan hai
Aur mehka sa milan hai
Door jaao na
Suhana sapana tumhara
Sach ho gaya
Jahaan meetha nashaa
Hai taaron ki chhao me
Repeat (*)

Jahaan meetha nashaa
Hai taaron ki chhao me

Jab Kisi Ki Taraf Dil Jhukne Lage - Pyaar to hona hi tha


*Jab kisi ki taraf dil jhukne lage
Baat aa kar zubaa tak rukne lage
Aakhon aakhon me ikraar hone lage
Bol do gar tumhe pyaar hone lage
Hone lage, hone lage (2)

Chahne jab lage dil kisi ki khushi
Dillagi ye nahi ye hai dil ki lagi
Aandhiyon ko dabaane se kya faaeda
Pyaar dil me chupaane se kya faaeda
Jaan se pyara jab dildaar hone lage
Bol do gar tumhe pyaar hone lage
Hone lage, hone lage
Repeat (*)

Uski khushbu agar apni saason me ho
Uska sapana agar apni aakhon me
Jab na dil ke behelne ki soorat lage
Jab koi zindagi ki zarurat lage
Aur jeena bhi dushvaar hone lage
Bol do gar tumhe pyaar hone lag
Hone lage, hone lage
Repeat (*)
Pyaar hone lage
Pyaar to hona hi tha (2)

Nazar ke Saamne - Aashiqui

*Nazar ke saamne, Jigar ke paas (2),
Koi rehta hai....
Wo ho tum (2)
Nazar ke saamne, jigar ke paas

Betaabi kya hoti hai
Poocho mere dil se (2)
Tanha tanha lauta hu
Mai to bhari mehfil se
Mar na jaun kahin (2)
Hoke tumse juda
Repeat (*)
Nazar ke saamne, jigar ke paas

Tanhai jeene na de
Bechaini tadpaaye (2)
Tumko mai na dekhun to
Dil mera Ghabraye
Ab mujhe chhod ke (2)
Door jaana nahi
Repeat (*) X 2

Aao Na - Kyu..ho gaya na?

Gunji si hai saari fiza
Jaise bajati ho shehnaiyyan
Leherati hai mehki hawa
Gungunati hai tanhaiyyan

*Sab gaate hain , sab hi madhosh hai
Hum tum kyu khamosh hai?

Saaze dil chhedo na
Chup ho kyu? Gao na
Aao na , aao na
Aao na, aao na

Tan mann me kyu aise behti hui
Thandi si ik aag hai
Saason me hai kaisi ye raagini
Dhadkan me kya raag hai
Ye hua kya humein, humko samjhao na (2)
Repeat (*)
Dil me jo baatein hai
Hothon pe laao na
Aao na, aao na
Aao na, aao na

Ab koi duri na uljhan koi
Bas ek ikraar hai
Ab na kahin hum na tum ho kahin
Bas pyar hi pyar hai
Sun sako dhadkane, Itne paas aao na (2)
Repeat (*)
Ab mere sapno pe
Tum hi tum chhao na
Aao na, aao na
Aao na, aao na

Gunji si hai saari fiza
Jaise bajati ho shehnaiyyan
Leherati hai mehki hawa
Gungunati hai tanhaiyyan

Repeat (*)
Saze dil chhedo na
Chup ho kyu, gaao na
Aao na, aao na
Aao na, aao na

Aawarapan Banjarapan - Jism

*Aawarapan Banjarapan
Ek khala hai seene me
Har dum har pal
Becchaini hai
Kaun balaa hai seene me

Is dharti par
Jis pal sooraj
Roz savere ugata hai (2)
Apne liye to theek usi pal
Roz dhala hai seene me
Repeat (*)

Jaane ye kaisi aag lagi hai
Isme dhuaa na chingaari (2)
Ho na ho is baar kahin koi
Khaab jala hai seene me
Repeat (*)

Jis raste tapata sooraj
Saari raat nahi dhalta (2)
Ishq ki aisi raah guzar ko
Humne chuna hai seene me
Repeat (*)

Kahan kisi ke liye hai mumkin
Sabke liye ik sa hona (2)
Thoda sa dil mera bura hai
Thoda bhala hai seene me
Repeat (*)

Jeene ke Ishaare - Phir Milenge


Kuch khushbooein
Yaadon ke jungle se beh chali
Kuch khidkiyaan
Lamhon ki dastak pe khul gayi
Kuch geet puraane
Rakkhe the sirhaane
Kuch sur kahin khoye the
Bandish mil gayi

*Jeene ke ishaare mil gaye
Bichhade the kinaare mil gaye (3)

Meri zindagi me teri baarishein kya hui
Mere raaste dariya bane behne lage
Meri karwaton ko tune aake jo chhua
Kai khaab neendon ki gali rehne lage
Repeat(*) X 2

Meri lau hawaaon se jhagad kar jee uthi
Mere har andhere ko ujaale pee gaye
Tune haske mujhse muskuraane ko kaha
Mere mann ke mausam gulmohar se ho gaye
Repeat (*) X 2

Kuch khushbooein
Saason se saanson me ghul gayi
Kuch khidkiyaan
Ankhon hi aakhon me khul gayi
Kuch pyaas adhuri
Kuch shaam sinduri
Kuch reshmi gunaahon me raatein dhal gayi
Repeat (*) X 2
Bichhade the kinare mil gaye
Repeat (*) X 5

Gazab Ka Hai Din - QSQT

*Gazab ka hai din
Socho zara
Ye deewanapan
Dekho zaraa
Tum ho akele
Hum bhi akele
Maza aa raha hai
Kasam se
Kasam se (2)

Dekh lo humko kareeb se
Aaj hum mile hai naseeb se (2)
Ye pal fir kahan
Aur ye manzil fir kahan
Repeat (*)

Kya kahu mera jo haal hai
Raat din tumhara khayal hai (2)
Fir bhi jaane jaan
Mai kahan aur tum kahan
Repeat (*)

Wednesday, March 01, 2006

Roobaroo - Rang De Basanti

Aye saala
Abhi abhi
Huaa yaqeen
Ke aag hai mujh mein kahin
Hui subaah
Main chal gaya
Suraj ko main nigal gaya
Roo-ba-roo
Roshni heyy - 2

Jo gumshuda
Sa khwaab tha
Wo mil gaya
Wo khil gaya
Wo loha thaa pighal gaya
Khichhaa khichhaa
Machal gaya
Sitaar mein badal gaya
Roo-ba-roo
Roshni heyy - 2

Chorus:
Dhuaan chhataa khula gagan mera
Nayi dagar naya safar mera
Jo ban sake tu hamsafar mera
Nazar mila zara - 2

Aandhiyon se jaghad rahi hai lau meri
Ab mashaalon si bhad rahi hai lau meri
Naamo nishaan rahe na rahe
Ye kaaravaan rahe na rahe
Ujaale mein pee gaya
Roshan huaa jee gaya
Kyon sehte rahe
Roo-ba-roo
Roshni heyy - 2

Repeat Chorus
Roo-ba-roo
Roshni heyy - 2
Aye saala - 4